khak un galiyon ki palkon se bahut chhani thi phir bhi surat meri is shahar mein an-jaani thi hum bhi kuchh apni wafaon pe hue the nadim un ko bhi tark-e-talluq pe pashemani thi khud-farebi to alag baat hai warna hum ne apni surat kahan aaine mein pahchani thi zindagi sang bani thi tujhe rukhsat kar ke dil na dhadka tha to marne mein bhi aasani thi hadisa sakht tha jaankah tha ab ke yaro warna hum ne to kabhi haar nahin mani thi rah gai rah mein yun sharm-e-shikasta-pai kya thaharte kahin wo be-sar-o-samani thi na-rasai koi kis aankh se dekhe apni hum bhi tute hue par, raat bhi tufani thi gul hui shama to daman bhadak uttha 'hashami' jab nazar bujh gai virani hi virani thi