dam-ba-khud baith ke khud jaise zaban gili hai sans kya lun ki hawa dahr ki zahrili hai ban gaya qatra-e-nachiz taraqqi se guhar zat hai ek faqat nam ki tabdili hai lag ne jis ki mujhe phunka hai andar andar shama us aag ki ek haiat-e-tamsili hai mal ke mitti teri chaukhat ki hua khak se pak jo lakir ab mere mathe ki hai chamkili hai phir udana hain gareban ke mujhi ko purze hath bekar abhi the ki qaba si li hai 'arzu' hoga ye maqtal hi aza-khana bhi shafaqi farsh zamin ka hai to chhat nili hai