khala mein ho irtiash jaise kuchh aisa manzar hai aur main hun ye karb-e-takhliq ka dhuan hai jo mere andar hai aur main hun hazar rangon mein apni lahron pe sham ubharti hai dubti hai chahaar atraf aaina hain wo zulf-e-abtar hai aur main hun mere siwa kuchh nahin kahin bhi azal abad ek khwab-e-masti zamin qadam-bhar hai mere niche falak nigah-bhar hai aur main hun siyah girdab si khala mein kisi ko to dubna hai aakhir safar ka sathi bas ek sitara mere barabar hai aur main hun mujhe khabar hai ki 'ramz' kitni samaaten zakhm zakhm hongi lahu ki hain kuchh hikayaten aur zaban-e-khanjar hai aur main hun