sanwar jae bhi to munh dekhne darpan nahin milta gharibi ki kalai mein koi kangan nahin milta badon ki khwahishon ka bojh hai nanhe se kandhon par hamare daur mein bachchon ko ab bachpan nahin milta main zid kar ke kabhi rota to aansu ponchh leti thi abhi rota hun to shafqat-bhara daman nahin milta kahin jhule nahin padte kabhi sarson nahin phuli yahan pardes mein aa kar mujhe sawan nahin milta siyasat ki dukanon se khariden hain nae chehre sabhi rahbar banen phirte hain ek rahzan nahin milta mere aslaf sa koi amanat-dar hai 'sabir' agar masraf ho zati to diya raushan nahin milta