khala mein tair raha hai sawal duniya ka khuda ko aaega kis din khayal duniya ka ye aur baat ki jannat yaqin se aage thi wahan bhi sath gaya ehtimal duniya ka hamare nama-e-amal mein likha us ne uruj-e-adam-e-khaki zawal duniya ka ye waqia hai ki insan mar gaya pahle phir is ke baad hua intiqal duniya ka koi khabar nahin kis waqt aur kahan gir jae khuda ke hath se jam-e-sifal duniya ka hazar mail ko dhoya hazar sabun se kisi tarah bhi na chhuta khayal duniya ka ajib rang ka pinjra hai aasman niche tilism-e-ghaib hai 'khurshid' haal duniya ka