khalish ho jis mein wo arman talash karta hun na nikle dil se jo paikan talash karta hun kisi ki kakul-e-pechan talash karta hun chaman mein sumbul-o-raihan talash karta hun na jis mein daur-e-khizan ho na aashiyana jale main koi aisa gulistan talash karta hun khilaf-e-waza hai hadd-e-junun se badh jaana tariq-e-chaak-gariban talash karta hun main is talash ke qurban fasana-e-dil ko main roz ek naya unwan talash karta hun na koi shama hai raushan na raqs-e-parwana sukun-e-gor-e-ghariban talash karta hun jo hadsat ki aandhi mein bhi rahe raushan main aisi sham-e-farozan talash karta hun kabhi kalim ne dekha tha tur par jalwa wahi main jalwa-e-jaanan talash karta hun wo shah-rag se bhi nazdik shams' rahta hai jise ba-koh-o-bayaban talash karta hun