KHalish ka husn nazar mein rahe to achchha hai

khalish ka husn nazar mein rahe to achchha hai
abhi ye tir jigar mein rahe to achchha hai

mera khayal-e-pareshan bhi ai shab-e-hijran
jo bazm-e-najm-o-qamar mein rahe to achchha hai

gire nazar se to ashkon ki aabru jae
sada ye aab guhar mein rahe to achchha hai

hamesha ishq ki aatish ko sine mein rakkhen
jigar ka khun jigar mein rahe to achchha hai

tadap na dil ki raqib aaen chaaragar ban kar
ye ghar ki baat hai ghar mein rahe to achchha hai

ajab nahin wo kisi roz ham-nawa ho jaen
mera khayal khabar mein rahe to achchha hai

usi ko jehd-e-musalsal ki aabru kahiye
yaqin ka sath safar mein rahe to achchha hai

ghazal to khub sajai hai aap ne lekin
hunar ye dast-e-hunar mein rahe to achchha hai

'nazir' jhil ka pani bhi sukh sakta hai
kanwal ye dida-e-tar mein rahe to achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close