na to dosti na to dushmani nahi dil mein koi ghubar hai wo ghazab ke tir kidhar ke the ki tamam sina-figar hai na shafaq ka rang na bu-e-gul na farogh-e-subh-e-bahaar hai tere rang-o-rup ka sehr hai jo fazaon mein ye nikhaar hai jo nazar mein aaya chamak gaya jise chhu liya wo mahak gaya yahi tarz-e-husn-e-khisal hai jo zamana us pe nisar hai koi gard-e-rah-e-butan bana koi rashk-e-hur-e-jinan bana koi shahkar-e-jahan bana yahi ek musht-e-ghubar hai jo ziya-fashan hai nazar nazar wo kahan mile ye nahin khabar mere dil mein hai wahi sar-basar na to barq hai na sharar hai wo ghutan hai aaj fazaon mein ki sharab mein bhi maza nahin na gulon pe rang-e-shabab hai na to naghma-zan wo hazar hai mere ishq ki hain karamaten ki hui hain teri nawazishen teri zulf ki si mahak liye mere gird kaisa hisar hai na qiyam mein na sujud mein na to lutf jam-o-surud mein ye hai zindagi koi zindagi na to qaid hai na farar hai wo junun-e-ishq hai mo'atabar jo tapa ho lail-o-nahaar ka na talash ho kisi chhanw ki na sukun mein us ko qarar hai gham-e-zindagi kahan sab mila yahi maniye ki wo kam mila ki 'nazir' qaid-e-hayat mein kahan ranj-o-gham ka shumar hai