khalish sukun ka mudawa nahin to kuchh bhi nahin shikast-e-saz mein naghma nahin to kuchh bhi nahin jise zamana kahe iztirab ka aalam wo zindagi ka sahaara nahin to kuchh bhi nahin sarod-e-bang-e-moazzin nahin dalil-e-sahar mizha pe subh ka tara nahin to kuchh bhi nahin hua karen tere kan aashna-e-shor-e-jaras safar ka dil mein irada nahin to kuchh bhi nahin ye mana qalb-e-zamin tak teri pahunch hai magar talash-e-auj-e-surayya nahin to kuchh bhi nahin hamare butkada-e-dil mein dhund to zahid yahin kahin tera kaba nahin to kuchh bhi nahin