kuza-gar main tere kis khwab ka chehra ho jaun sirf ek jism ki mohlat hai main kya kya ho jaun tujh mein aur mujh mein bas ek farq wafa hi ka hai main agar tark wafa kar dun to tujh sa ho jaun mujh ko mere hi andhere ne chhupa rakkha hai jo teri zat mein aa jaun sitara ho jaun sochte sab hain kahani to mukammal ho jae chahta koi nahin hai ki main us ka ho jaun chaar din qaid mein rah kar ye tamanna bhi gai pahle lagta tha ki ai kash parinda ho jaun main to bas ek tasawwur hun wahi rahne de aise bhi soch na mujh ko ki main chehra ho jaun sab ki aankhon mein khatakti hai hamari qurbat shahr ka shahr laga hai ki akela ho jaun ishq mein sara kamal asl mein furqat ka hai jo bhi ho jae juda mujh se main us ka ho jaun