khalq-e-khuda hai shah ki mukhbar lagi hui khamoshiyon ki bhid hai ghar-ghar lagi hui sang o sag o sada sabhi pichhe pade hue ek daud si hai hum mein barabar lagi hui sad ehtimam-e-girya bhi aaya na apne kaam bujhti nahin hai aag si andar lagi hui aao ki mutmain karen apne zamir ko mohar-e-sukut tod den lab par lagi hui lazim hai ehtiyat faqihan-e-sheher ko har ek nazar hai ab sar-e-mimbar lagi hui muddat ke baad aae to ruthi hui si thi takhti hamare nam ki dar par lagi hui udti rahi kuchh is tarah ruswaiyon ki khak jaise 'shafiq' baat koi par lagi hui