wo aasman ke darakhshinda rahiyon jaisa andheri shab mein sahar ki gawahiyon jaisa kiran-shuur, dil-e-jahl mein utarta ja ki waqt aan pada hai tabahiyon jaisa faqir-e-farda! tere nam se mila hai hamein ye mulk-e-khwab, teri baadshahiyon jaisa niyaz-o-arz-e-sukhan se kahan faro howe ghurur-o-naz ki hai kaj-kulahiyon jaisa kaha tha kis ne ki shakh-e-nahif se phuten gunah hum se hua be-gunahiyon jaisa meri baraat kisi ajnabi ka likhkha hua ye harf harf nawishta siyahiyon jaisa