khalq kahti hai jise dil tere diwane ka ek gosha hai ye duniya isi virane ka ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka zindagi kahe ko hai khwab hai diwane ka husn hai zat meri ishq sifat hai meri hun to main shama magar bhes hai parwane ka kabe ko dil ki ziyarat ke liye jata hun aastana hai haram mere sanam-khane ka mukhtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hun raaz-e-kaunain khulasa hai is afsane ka zindagi bhi to pasheman hai yahan la ke mujhe dhundti hai koi hila mere mar jaane ka tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang aao dekho na tamasha mere gham-khane ka ab ise dar pe le ja ke sula de saqi yun bahakna nahin achchha tere mastane ka dil se pahunchi to hain aankhon mein lahu ki bunden silsila shishe se milta to hai paimane ka haddiyan hain kai lipti hui zanjiron mein liye jate hain janaza tere diwane ka wahdat-e-husn ke jalwon ki ye kasrat ai ishq dil ke har zarre mein aalam hai pari-khane ka chashm-e-saqi asar-e-mai se nahin hai gul-rang dil mere khun se labrez hai paimane ka lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain kun hai andaz-e-raqam husn ke afsane ka hum ne chhani hain bahut dair o haram ki galiyan kahin paya na thikana tere diwane ka kis ki aankhen dam-e-akhir mujhe yaad aai hain dil muraqqa hai chhalakte hue paimane ka kahte hain kya hi maze ka hai fasana 'fani' aap ki jaan se dur aap ke mar jaane ka har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani' zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka