khalq mein tera ham-jamal kahan dhundhiye surat-e-misal kahan laiye kis se himmat-e-khud-kaam kijiye jurat-e-sawal kahan shauq-e-didar yak-nigah durust tab-e-nazzara-e-jamal kahan kaun pahuncha teri haqiqat ko is qadar wusat-e-khayal kahan har ada teri ek aalam hai tu kahan aalam-e-misal kahan mera zauq-e-junun agar be-asl jazb hota tera jalal kahan zindagi sirf gham hui 'hirman' ab kisi gham ka ehtimal kahan