khalq se pahle bata de kya tera mauzua hai chitrkara sun yahan taza-kashi mamnua hai phul nazzare se aage raushni karne ki shai rang ki kari-gari mein aag bhi majmua hai dasht mein ai shah teri hargiz amal-dari nahin ye aza-khana dayar-e-hukm se marfua hai zaicha-saza hamare khwab ki taqtia kar fal-gira ye bata kya ab dua masmua hai wahm ka suraj hun mera kya tayyun ho sake is tayaqqun-gah mein meri kiran maqtua hai jal bujhi hogi kisi dheri mein sarkandon ki aag katib-e-man hausla rakh ab sukhan matbua hai