ruk dekh yar khinch le taswir waqt par

ruk dekh yar khinch le taswir waqt par
akhrot todti hai gilahri darakht par

shayad kahin se abr-e-karam ka zuhur ho
dariya pe ek aankh laga ek dasht par

khidki mein subh wadi-e-kailash ka zuhur
utre awadh ki sham kisi roz takht par

rath se hatheliyon pe utarti are ghazab
makhmal ghasitti hai zamin-e-karakht par

gul surkh rang ghas hari nilgun falak
ai kirdgar shukr tere bandobast par

takhliq ka tilism kabhi dekhne chalen
hum aakhiruzzaman bhi hain bab-e-alast par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close