khalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe dil samundar mein bhi diwar uthana chahe parda-dari ye mohabbat ko nibhana chahe dil mein chhup kar wo kahan samne aana chahe us ke daman pe bikhar jae sitaron ki tarah khamushi haal agar apna suna chahe us se kya koi kare aag bujhane ka sawal wo to jazbaat mein bas aag lagana chahe husn barham ki manane ko hai sadiyan darkar rose ek tark-e-talluq ka bahana chahe ishq ko farsh bhi kanton ka gawara hai magar husn har haal mein ek aaina-khana chahe ban gaya meri mohabbat ka harif ai 'akhgar' main jise chahun usi ko ye zamana chahe