khamida rah ko sidha ghalat bataya hai kisi ne andhon ko rasta ghalat bataya hai zarur chor tha is marne wale ke dil mein tabhi khazane ka naqsha ghalat bataya hai main ek baat batata magar buzurgon ne har ek baat batana ghalat bataya hai yahan pe rahta nahin koi qais nam ka shakhs kisi ne aap ko sahra ghalat bataya hai ye zist waqai mushkil hai ya mujhe dil ne guzarne ka tariqa ghalat bataya hai hamari dar-badari kyun pasand hai us ko na-jaane kyun pata apna ghalat bataya hai jadid daur ke darwesh hain 'aqil' hamin harif ne sag-e-duniya ghalat bataya hai