khamir mera utha wafa se wajud mera faqat haya se kuchh aur bojhal hua mera dil ghuti hui dard ki faza se baras pade hasraton ke baadal nazar pe chhai hui ghata se hai wahshaton ka safar musalsal badha junun hijr ki saza se hatheliyon par na rach saki wo jo nam likkha tera hina se bana gai tum ko aur chanchal jhuki jo meri nazar haya se gulon pe ek be-khudi si chhai chaman mein bahki hui saba se hai wajd kyun shakh-e-gul pe tari lipat ke jhumi wo kyun hawa se mahak ki kirnen chaman mein raqsan gulab ki reshmi qaba se kali ko chuma gulon ko nocha kisi ne simab si ada se hai to masiha to kar mudawa hai soch zakhmi teri jafa se wahi ada be-niyaziyon ki to kaam kab tak na lun ana se yaqin kaise karun main 'bano' sukun kya de saken dilase