lutf aane laga bikharne mein ek gham ko hazar karne mein bas zara sa phisal gae the hum ek bagule pe panw dharne mein kitni aankhon se bhar gai aankhen tere khwabon se phir guzarne mein main ne socha madad karoge tum kam-nasibi ke ghaw bharne mein bujhte jate hain mere log yahan raushni ko bahaal karne mein kis qadar hath ho gaya zakhmi khud-kushi tere par katarne mein