khamosh dab-e-ishq ko bulbul liye hue gul mast hai chaman mein piyala piye hue imsal fasl-e-gul mein wo phir chaak ho gae agle baras ke the jo gareban siye hue hum bhi hawa mein ek gul-e-nau-khez-e-husn ke barson phire hain chaak gareban kiye hue dokanen mai-faroshon ki kab se padi hain band rah rah gae hain qufl diye ke diye hue ishq-e-sanam hai is mein hain khuddariyan zarur ai dil khuda ke waste khud ko liye hue murshid hai ishq hum hain murid us janab ke barson guzar gae hain piyala piye hue wo aa ke muskurae is andaz-o-naz se khul khul gae jo zakhm-e-jigar the siye hue roz-e-azal se dakhl wajud o adam mein hai donon ilaqe hain ye hamare liye hue hain but-parast dair mein haji hain kaba mein talib raza-e-dost ke dharne diye hue maidan-e-imtihan mein hamein bhej dijiye kahiye unhen ye kaam hain jin ke kiye hue namard apne wadi mein rakkhega kya qadam sar ho muhimm-e-ishq na be-sar diye hue kis kis tarah ka bhes badal kar pahunchte hain aashiq hue na aap ke bahrupiye hue hasil hua buton se na aashiq ko muddaa raushan kabhi na dair mein ghee ke diye hue tawiz o naqsh kuchh nahin karte asar wahan sare ye khatkhate hain hamare kiye hue ek shab hui nasib-e-sulaiman na jo pari hum roz soe us ko baghal mein liye hue aankhon mein phirti hain jo wo aankhen nashilyan do botalon ki masti hai be-mai piye hue bandha jo chust chust mazamin-e-nau ke sath bandish se meri tang bahut qafiye hue aashiq mizaj rote hain padh padh ke beshtar ashaar 'rind' ke na hue marsiye hue