jo mauj khushbuon ki thi gulab se nikal gai main muzmahil thi is qadar shabab se nikal gai ye zindagi ye rukhsati usi ki hain amanaten shikasta jism mein tere azab se nikal gai main likh rahi thi dastan tera bhi nam aa gaya kahani apne aap hi kitab se nikal gai wo lams badh raha tha ab qarib se qarib-tar so main ne faisla kiya habab se nikal gai sharik daud mein hue safar bhi aur qayam bhi to rakhsh-e-waqt main teri rikab se nikal gai sawal ka jawab bhi sawal hi se dega tu jhamela-saz main tere sarab se nikal gai main mubtala-e-arzu thi aarzu se jag uthi aur agle pal hi zindagi hisab se nikal gai nirash chand tirgi mein ghul ke shant ho gaya 'sahar' main nind mein chali to khwab se nikal gai