khamosh nigahon se wo yalghaar ka hona milta hai nafi mein kisi iqrar ka hona mahfuz mere khwab ko batlata nahin hai ek aks-e-taraddud mein nigah-dar ka hona hairat mein nahin dalta ab shahr-e-guman ko har roz lahu-rang mein akhbar ka hona aasar-e-talluq ko jala deta hai aksar gumnam kisi dard mein gham-khwar ka hona raste ke takalluf se chalo baat karen kuchh mumkin nahin har mod pe ghar-bar ka hona lamhon ke ishaaron se ayan hone laga hai galiyon mein mere yar ki aghyar ka hona karta hai bahut yaad shab-o-roz mera dil phulon ke nagar mein rah-e-pur-khar ka hona aqlim-e-jafa-kesh mein tum dekhna 'jafar' lazim hai pas-e-dar kisi diwar ka hona