hain be-niyaz-e-khalq tera dar hai aur hum teri gali hai khak ka bistar hai aur hum sajdon se raat din ke hai tauhin-e-bandagi sar todne ke waste patthar hai aur hum is khauf se ki panw na khul jae ghair ka din raat ku-e-yar ka chakkar hai aur hum kaisa khulus kis ki mohabbat kahan ka ishq mahshar mein daman-e-but-e-khud-sar hai aur hum go harf harf dal diya un ke kan mein aage 'rashid' apna muqaddar hai aur hum