khamoshi bas khamoshi thi ijazat ab hui hai ishaaron ko tere padhne ki jurat ab hui hai ajab lahje mein karte the dar-o-diwar baaten mere ghar ko bhi shayad meri aadat ab hui hai guman hun ya haqiqat sochne ka waqt kab tak ye ho kar bhi na hone ki musibat ab hui hai achanak hadbada kar nind se main jag uttha hun purana waqia hai jis pe hairat ab hui hai yahi kamra tha jis mein chain se hum ji rahe the ye tanhai to itni be-murawwat ab hui hai bichhadna hai hamein ek din ye donon jaante the faqat hum ko juda hone ki fursat ab hui hai ajab tha masala apna ajab sharmindagi thi khafa jis raat par the wo shararat ab hui hai mohabbat ko teri kab se liye baithe the dil mein magar is baat ko kahne ki himmat ab hui hai