jahan-e-rang-o-bu mein mustaqil takhliq-e-masti hai chaman mein raat bhar banti hai aur din bhar barasti hai nigah-e-ishq o chashm-e-husn do sawan ke baadal hai ye jab milte hain dil par ek bijli si barasti hai agar hai zindagi manzur be-soche fana ho ja mazaq-e-ashiqi mein nisti ka nam hasti hai yakayak phir charagh ummid ke hone lage raushan ye subh-e-roz-e-mahshar hai ki sham-e-subh-e-hasti hai khuda se hukm-e-tansikh-e-ajal mangenge mahshar mein magar 'simab' ye to qissa-e-ma-baad-e-hasti hai