khamoshi bol utthe har nazar paigham ho jae ye sannata agar had se badhe kohram ho jae sitare mishalen le kar mujhe bhi dhundne niklen main rasta bhul jaun jangalon mein sham ho jae main wo aadam-gazida hun jo tanhai ke sahra mein khud apni chap sun kar larza-bar-andam ho jae misal aisi hai is daur-e-khirad ke hosh-mandon ki na ho daman mein zarra aur sahra nam ho jae 'shakeb' apne taaruf ke liye ye baat kafi hai hum us se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jae