kanar-e-ab khada khud se kah raha hai koi guman guzarta hai ye shakhs dusra hai koi hawa ne tod ke patta zamin pe phenka hai ki shab ki jhil mein patthar gira diya hai koi bata sake hain padosi kisi ka dard kabhi yahi bahut hai ki chehre se aashna hai koi darakht-e-rah bataen hila hila kar hath ki qafile se musafir bichhad gaya hai koi chhuda ke hath bahut dur bah gaya hai chand kisi ke sath samundar mein dubta hai koi ye aasman se tuta hua sitara hai ki dasht-e-shab mein bhatakti hui sada hai koi makan aur nahin hai badal gaya hai makin ufuq wahi hai magar chand dusra hai koi fasil-e-jism pe taza lahu ke chhinte hain hudud-e-waqt se aage nikal gaya hai koi 'shakeb' dip se lahra rahe hain palkon par dayar-e-chashm mein kya aaj rat-jaga hai koi