khamoshi mein chhupe lafzon ke huliye yaad aaenge teri aankhon ke be-awaz lahje yaad aaenge tasawwur thokaren khate hue qadmon se uljhega ubharti dubti manzil ke raste yaad aaenge mujhe malum hai dam tod degi aagahi meri jo lamhe bhulne ke hain wo lamhe yaad aaenge kabhi apne akele-pan ke bare mein jo sochoge tumhein tute hue kuchh khas rishte yaad aaenge kuchh aisa ho ki taswiron mein jal jae tasawwur bhi mohabbat yaad aaegi to shikwe yaad aaenge jo tera jism chhu kar meri sanson mein samate the har aahat par wahi khushbu ke jhonke yaad aaenge bhale auraq-e-mazi chat jae waqt ki dimak jo qisse yaad aane hain wo qisse yaad aaenge jahan tum se bichhadne ka sabab aankhen bhigoenge wahin apni mohabbat ke wasile yaad aaenge 'salim' aakhir gae waqton ki qabren khodiye kyun-kar dil-e-masum ko apne khilaune yaad aaenge