nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho khizan sukun se guzre agar bahaar na ho nigah-e-dil mein jo rangini-e-bahaar na ho gunahgar-e-tamasha gunahgar na ho fareb-e-nikhat-o-rang aagahi shikar na ho karishma-kar-e-chaman mein agar bahaar na ho khizan ke jaur-e-musalsal pe be-qarar na ho bahaar dekh magar khugar-e-bahaar na ho baja hai ghunche ka josh-e-numu se khil uthna jo gul pe aai wo guzri hui bahaar na ho mera shuur-e-bahaaran khizan pe ghash ho 'sahab' agar wo naqs-e-bahaaran ki yaadgar na ho