KHamoshi un ka tarz-e-guftugu hai

khamoshi un ka tarz-e-guftugu hai
yahi apna takallum hu-ba-hu hai

zaban-bandi gulon ki kya karoge
ki khushbu un ki sharh-e-arzu hai

jise dekha nahin ab tak kisi ne
wahi chehra hamare chaar su hai

pas-e-aina hai ye aks kis ka
na jaane kaun mere ru-ba-ru hai

kiya aankhon ne jo aankhon se shikwa
usi ka tazkira ab ku-ba-ku hai

gire hain aankh se jo chand qatre
unhi se dil hamara ba-wazu hai

khudi kya hai yaqin bas ye ki main hun
samundar dil mein rakkhe aabju hai

har ek ne aasman apna sajaya
har ek is aasman ki aabru hai

jise ehsas apne husn ka ho
wahi suraj hai wo hi mah-ru hai

kisi ki yaad ne mahka diya dil
har ek dhadkan hamari mushkbu hai

ye sari umr sayon ka taaqub
tujhe kis ki 'hidayat' justuju hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close