khamoshiyon ke gahre samundar mein dub jaen kho jaen is tarah ki phir apna pata na paen hai maut ka payam kinaron ki zindagi masum machhliyon se kaho jal mein na aaen dasht-e-alam mein barg-e-khizan-dida ki tarah bas ai hujum-e-shauq kahin hum bikhar na jaen viraniyan ki aankhon mein sahra basa hua majburi-e-hayat na aansu bhi muskuraen chehre jhulas rahe hain hawadis ki dhup mein phir bhi alam-nasib hazaron mein jagmagaen aisa na ho ki dil ka har ek zakhm aanch de kah dijiye 'shamim' wo meri ghazal na gaen