khamushi chhed rahi hai koi nauha apna tutta jata hai aawaz se rishta apna ye judai hai ki nisyan ka jahannam koi rakh ho jae na yaadon ka zakhira apna in hawaon mein ye siski ki sada kaisi hai bain karta hai koi dard purana apna aag ki tarah rahe aag se mansub rahe jab use chhod diya khak tha shola apna hum use bhul gae to bhi na puchha us ne hum se kafir se bhi jizya nahin manga apna ye naya dukh ki mohabbat se hue hain sairab pyas ke bojh se duba na safina apna