kah rahe the log sahra jal gaya phir khabar aai ki dariya jal gaya dekh lo main bhi hun mera jism bhi bas hua ye hai ki chehra jal gaya mere andaze ki nisbat wo charagh kam jala tha phir bhi achchha jal gaya short circuit se udin chingariyan sadr mein ek phul-wala jal gaya aag barsi thi badi ke shahr par ek hamara bhi shanasa jal gaya main to shoalon mein nahaya tha 'farogh' dur se logon ne samjha jal gaya