khamushi ke batn se ye guftani paida hui main ba-zahir chup hua aur shaeri paida hui is tarah sabit hua gham aur khushi ka imtizaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paida hui jurm ki padash mein hum khak par phenke gae so yahan par intiqaman zindagi paida hui khauf ne hi maslahat ki rah bhi ijad ki main andheron se dara aur raushni paida hui dil mein kab utri kisi ke be-maani guftugu baat karne se to bas aawaz hi paida hui