jo kuchh dekha aur samjha hai nazr-e-lauh-o-qalam karta hun yani chashm-e-hairat par main sachche khwab raqam karta hun pahle meri danai par koi wahshat chha jati hai aur phir puri quwwat se main us ki shiddat kam karta hun zakhm-e-malamat nochte rahna waise bhi to be-masraf hai jitna ho sakta hai mujh se bas utna hi gham karta hun yun to sare jag se lad kar main ne khud ko manwaya hai lekin ek goshe mein apne hone ka matam karta hun dil aur duniya ek jagah par yaksan raushan kab hote hain ek charagh ki lau bhadka kar ek diya maddham karta hun warna 'samir' is sannate mein koi kaise rah sakta hai jis had tak mumkin ho mujh se aawazen paiham karta hun