khamushi se nikalti baat ka dukh jaanta hun tumhaari zat ka dukh nim-shab ki khamoshi aur gham-e-dil noch leta hai aankh raat ka dukh bas main shikwa-kunan nahin tujh se mujh ko waise hai teri baat ka dukh haar kar bhi main jit jaunga bas kabhu ho jo tujh ko mat ka dukh tum ne jina hai main ne jina hai jaan nikalega ye hayat ka dukh mere jine pe bhi na raazi tha tujh ko hona tha kya wafat ka dukh dost ghamgin na hon mere 'hamza' pal lunga main panch sat ka dukh