bas ki pabandi-e-ain-e-wafa hum se hui ye agar koi khata hai to khata hum se hui zindagi tere liye sab ko khafa hum ne kiya apni qismat hai ki ab tu bhi khafa hum se hui raat bhar chain se sone nahin deti hum ko itni mayus teri zulf-e-rasa hum se hui sar uthane ka bhala aur kise yara tha bas tere shahr mein ye rasm ada hum se hui bar-ha dast-e-sitam-gar ko qalam hum ne kiya bar-ha chaak andhere ki qaba hum se hui hum ne utne hi sar-e-rah jalae hain charag jitni bargashta zamane ki hawa hum se hui bar-e-hasti to utha uth na saka dast-e-sawal marte marte na kabhi koi dua hum se hui kuchh dinon sath lagi thi hamein tanha pa kar kitni sharminda magar mauj-e-bala hum se hui