khana-e-dil mein ja-ba-ja shab-bhar main tujhe dhundhta raha shab-bhar raat mujh se lipat ke roti rahi so mujhe jagna pada shab-bhar tere aane se ho tulu-e-sahar dil ne mangi yahi dua shab-bhar jaane wo kis ki qabr hai jis par jalta rahta hai ek diya shab-bhar lautna tha mujhe bhi ghar ko magar hath aaya na rasta shab-bhar apni palkon pe dhoe ashk 'amin' hum ne haara na hausla shab-bhar