khanda-e-gul mein bhi poshida fughan ho jaise shakh-e-gul anjuman-e-nauha-garan ho jaise aap ne kah di wahi baat jo munh par thi mere aap ke munh mein bhi meri hi zaban ho jaise aisa lagta hai shahanshah-e-jahangir hun main malika-e-aliya tum nur jahan ho jaise kuchh ajab tarz ki is sal jali hai holi zinda lashon ki chitaon ka dhuan ho jaise waqt ke dasht-e-masafat ka hai mausam kaisa sab ki aankhon mein bhara talkh dhuan ho jaise bujhti shamon ka bhi matam nahin karta koi zindagi anjuman-e-zinda-dilan ho jaise