hawa ke madd-e-muqabil raha kisi ke liye

hawa ke madd-e-muqabil raha kisi ke liye
main wo diya hun jo shab bhar jala kisi ke liye

hamare waste koi dua kare na kare
hamare pas nahin bad-dua kisi ke liye

hawa ke khauf se mat baith ghup andhere mein
jalae ja tu diye par diya kisi ke liye

bacha ke shama-e-dil-o-jaan main kis liye rakhta
main jal gaya sar-e-rah-e-wafa kisi ke liye

na jaane aap ka mizan-e-adl kaisa hai
kisi ko hukm-e-rihai saza kisi ke liye

bahut bahane the bujhne ke waste 'kausar'
magar main khud ko jalata raha kisi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close