khandani rishton mein aksar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khubsurat hai bahut apne college mein bahut maghrur jo mashhur hai dil mera kahta hai us ladki mein chahat hai bahut un ke chehre chand taron ki tarah raushan rahe jin gharibon ke yahan husn-e-qanaat hai bahut hum se ho sakti nahin duniya ki duniya-dariyan ishq ki diwar ke sae mein rahat hai bahut dhup ki chadar mere suraj se kahna bhej de ghurbaton ka daur hai jadon ki shiddat hai bahut in andheron mein jahan sahmi hui thi ye zamin raat se tanha lada jugnu mein himmat hai bahut