raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen hum bhala kis ke liye ye kar-e-la-sani karen din to din raaton ko bhi ye apni man-mani karen mamlikat par dil ki yaaden jaise sultani karen bas gae hain aankh mein manzar pas-e-manzar sarab hum kahan tak apne khwabon ki nigahbani karen ek tilismi rang mein kho jaen jab chehre tamam farz hai aankhon pe kya izhaar-e-hairani karen ab to sare faisle hain sang-dil raaton ke hath ye agar chahen to phir khwabon ki arzani karen jab udas aankhen dilon se guftugu karne lagen phir to lab bekar hi zikr-e-pashemani karen