khandar jo ho gaya aisa makan kis ka tha hawa jo sah na saka saeban kis ka tha zamin kis ki thi aur aasman kis ka tha khayal kis ka tha dil mein guman kis ka tha thake hue the musafir kinare lag jate wo kashti dub gai baadban kis ka tha ghurur tha jinhen apni zamin-dari ka zamin-doz hua khandan kis ka tha wo ek lamha bhi mere qarib aa na saka main jis ko chhu na saki aasman kis ka tha khuda samajh ke jhukaya tha sar tere aage jabin pe meri wo dhundla nishan kis ka tha jo chhin le gaya mujh se meri mata-e-hayat wo hath tere mere darmiyan kis ka tha shikari ho ke hua khud shikar hairat hai jo unche ped pe tha wo machan kis ka tha wo jis ki aaj bhi 'rukhsar' gunj baqi hai misali shahr mein wo khandan kis ka tha