khandar ye phir basane ka irada hi nahin tha badan mein laut aane ka irada hi nahin tha shikam ki aag ne bailon ko hankna sikhaya wagarna hal chalane ka irada hi nahin tha wo apne bhediyon ko sair par laya tha ban mein ghazalon ko darane ka irada hi nahin tha kaha tha taeron se ped ko dimak lagi hai kisi ko aazmane ka irada hi nahin tha khabar kab thi ki aankhen os barsane lagengi tujhe warna jagane ka irada hi nahin tha main tere sath udta phir raha tha aasman mein khuda ko bhul jaane ka irada hi nahin tha sadi main ne tamannaon ko baal-o-par diye the magar un ko udane ka irada hi nahin tha