khwab jazira ban sakte the nahin bane hum bhi qissa ban sakte the nahin bane kirnen barf zaminon tak pahunchane ko baadal shisha ban sakte the nahin bane qatra qatra bahte rahe be-maya rahe aansu dariya ban sakte the nahin bane apna ghar bhi dhund na pate kho jate jugnu andhera ban sakte the nahin bane hum do-chaar mohabbat likhne wale log duniya jaisa ban sakte the nahin bane khwab tilawat ho sakta tha nahin hua dard sahifa ban sakte the nahin bane is birha ke chand ki surat hum bhi 'tarir' raat ko katba ban sakte the nahin bane