khane ko to zahr bhi khaya ja sakta hai lekin us ko phir samjhaya ja sakta hai is duniya mein hum jaise bhi rah sakte hain is daldal par panw jamaya ja sakta hai sab se pahle dil ke khali-pan ko bharna paisa sari umr kamaya ja sakta hai main ne kaise kaise sadme jhel liye hain is ka matlab zahr pachaya ja sakta hai itna itminan hai ab bhi un aankhon mein ek bahana aur banaya ja sakta hai jhut mein shak ki kam gunjaish ho sakti hai sach ko jab chaho jhuthlaya ja sakta hai