nikal laya hai ghar se khayal ka kya ho laga hai zakhm to ab indimal ka kya ho le aae kucha-e-dilbar se dil ko samjha kar hai be-qarar bahut dekh-bhaal ka kya ho luta ke mazi nazar is sadi pe rakkhi hai pe naqsha dekhiye tahsil haal ka kya ho abhi zamana-e-maujud ki giraft mein hun main sochta hun ki fikr-e-maal ka kya ho tha bab-e-shauq ki auraq-e-shab pe likhte rahe uda ke le gai shab to malal ka kya ho khayal-e-kham ko duniya apaj samajhti hai hamari dida-wari ke kamal ka kya ho nigar-e-zist ko awwal bahut hasin paya ulajh gaya hun to ab is wabaal ka kya ho jo asl majra tha barmala kaha main ne phir us ke baad tere ehtimal ka kya ho khayal rahta hai 'shahid' wo tursh-ru hai bahut wahan jo jaun to waz-e-sawal ka kya ho