khanjar ki tarah utre hai jo baat karo ho apnon pe ye tum kaisi inayat karo ho jab barmala kahne ki yahan rasm nahin hai phir kis liye tum purshish-e-haalat karo ho ya kahte the tum khul ke kaho jo bhi hai dil mein ya kahte ho tum hum se shikayat karo ho ya hum se ghadi-bhar ki judai thi qayamat ya hum se ghadi-bhar bhi na ab baat karo ho dekho kabhi us ko bhi jo hai chehron ke pichhe kahne ko to tum sab se mulaqat karo ho hum dil-zadagan ko bhi to aa kar kabhi puchho tum sab pe karam sab pe inayat karo ho is kucha se guzro ho na tum us se milo ho is shahr mein kaise guzar auqat karo ho tasbih thi us nam ki har-waqt ya ab tum allah ki din-raat munajat karo ho hai tark-e-talluq bhi to yak-guna talluq kyun us ki zamana se shikayat karo ho wo tum se khafa hai to use ja ke mana lo kyun aur kharab apne ye haalat karo ho 'iqbaal' utho kaam mein ab ji ko lagao kis dhyan mein barbaad ye din-raat karo ho