KHanjar ne hi chhoDa tha na marne mein guman aur

khanjar ne hi chhoda tha na marne mein guman aur
kyon lae mere qatl ko wo tir-o-kaman aur

kam-zarf kabhi josh-e-mohabbat mein labon par
karte hain himaqat to ubharta hai nishan aur

be-khauf-o-khatar aa ke jahan sote hon dangar
kya mere makan sa hai koi khasta makan aur

doctor ne kaha munh mein mere aala laga kar
aan aan se miyan kijiye bahar ko zaban aur

hum bhi to zara dekhen bahut kahte hain 'ghaalib'
le aaenge bazar se ja kar dil-o-jaan aur

hain aur bhi duniya mein hazal-go bahut achchhe
kahte hain ki hai 'raaz' ka andaz-e-bayan aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close